maine suna tha ki ekadashi brat karne se aur koi fasting brat karne ki jarurat nahi parta hai. kya ye sahi hai? agar sahi hai to sastra reference kya hai? kripeya koi prabhuji/mataji batayen..
You need to be a member of ISKCON Desire Tree | IDT to add comments!
Replies
Pehle baat toh yeh hai ki fasting kyon rakha jata hai?
Ekadashi vrat maane 11 indriyon ko control ( kaboo) mein rakhne ke liye kiya jaata hai. ( 11 indriya hoti kya hai>>?? five working senses: voice, legs, hands, the anus and the genitals. Then, 5 sensory organs , then there is the mind totally 11)
Doosare jo fasting hai .. woh aap prem se rakhte hai.. jaise janmastmi hai.. woh aap krishna bhagwan se prem karte hai toh aap rakhte ho.. Aap ko mata devaki aur vasudev ji ki takleef dekha nahi jaata .. toh aap unke liye midnight se pehle 12 gante fast rakhte ho.. aur uske baad bhagwan ki paida ( appearance) hone par aap prem se unke swaagat mein pakwaan banake doosono ko baant ke khate ho.
Aaise ko hard and fast rule nahi hai.. ki bhai Ekadashi kar liya toh doosare vrat karne ni padege.
Yeh toh sirf aap ka prem bhagwan ke prati shradda dikhata hai.
haan Ekadashi vart jo hai usko karna chahiye kyon ki woh aapko bahut cheezon pe yani apne Indriyon ko vash mein karne ka mann ko niyantran mein rakhna sikhata hai..aur aapko yeh zaroor karna chahiye.
Baaki saare upvas jo hai aapke prem, bhaav aur preeti ke anusaar aap rakh sakte hai.
Hare Krishna.