mujhe mera adhikar kab milega

meri shadi ko 4 years ho gae he ek choti beti he 1.5 years ki. Ghar chalance me me apne pati ki madad karti hu naukri karti hu. Pati ki salary jyada ni he bs ration aa pata he ghar ka. Baki upar ka sara kharcha bacche ka ghar ka koi bimar ho jae uska koi insurance koi loan sab me karti hu

Job karti hu to ghar se bahar rehti hu but mere saas sasur ne to mere adhikar hi chinana shuru kar diya he. Rasoi me agar kuch bhi mujhe karna ho apne hisab se karne nahi dete he har jagah apna adhikar sa jamake beth gae he, Jyada bolu to bs 1 hi dialauge ki chale jae kya ham. Unhe pata he ki beti ko sambhalne ki jarurat he is time to is baat ka fayda uthate he.

Itna sab karne ke baad jab aise dabna padta he to bhut man dukhta he mera. Man ni karta mera un logo ke liye kuch bhi karne ka. Apne hi ghar me ajnabi si ho gai hu me. 

Jab meri beti hui thi to hospital me log shagun dene aye the rishtedar wagarah to ekdum un peson ko kharch karke aa gai...mera operation hua tha us time bed written thi me. Us chij par mera adhikar tha wo bhi unhone le liya. Kitne saal ho gae unhe ghar chalate hue ab to mera time ab to mujhe mera haq milna chahiye ku mujhe mera adhikar nahi mil pa raha he. 

E-mail me when people leave their comments –

You need to be a member of ISKCON Desire Tree | IDT to add comments!

Join ISKCON Desire Tree | IDT