man bhul na jaana hari ke charan...

jin charno ke aashrit hokar...kasht hain saare mit jaate...
jin charno ke aashrit hokar..paapi bhi hain sukh paate..
jin charno ke smaran matr se paavan hota antaha karan..
re man mere bhul na jaana sada sumir hari ke charan..1.


jin charno se ganga nikli teeno lok hain taar diye...
jin charno ke sumiran ne hi sabke bede paar kiye...
jin charno ke smaran matr se mit jaatein hain janam maran..
re man mere bhul na jaana sada sumir hari ke charan...2..


jin charno ke sparsh matr se ahalya ka hua uddhar...
un charno ko re man mere nit hi sumir tu barambaar..
jin charno ka sumiran karta sare dukhon ka haran..
re man bhul na jaana sada sumir hari ke charan...3..


jin charno ko hriday rakh kar gopi jan vandan kare..
jin charno ki paavan raj dev rishi sar pe dhare..
das kamal wo charan hi karte sabka paalan aur bharan..
re man mere bhul na jaana sada sumir hari ke charan..4..
E-mail me when people leave their comments –

You need to be a member of ISKCON Desire Tree | IDT to add comments!

Join ISKCON Desire Tree | IDT

Comments

  • lovely ................poem man kare hamesha sumiran sada rahe hari ke charan
  • Beautiful poem. I enjoyed reading it alot. Thanks for sharing.
This reply was deleted.