BHAGAVAD GITA INTRODUCTION

om ajnana timirandhasya
gyananjana salakaya
caksur unmilitam yena
tasmai sri gurave namah
sri chaitanya mano bhistam
sthapitam yena bhutale
svayam rupa kada mahyam
dadati sva padantikam

iska mathlab hai ki
main ghor andhere main paida huyi thi , andhere main reh rahi thi lekin mere guruji ne mujhe uss andhere se baahar nikala hai . kaise?
gyan ki jyothi se mere guru ne mujhe ghor andhere se baahar nikala haiisliye main mere guru ko shath shath pranam karti hu .

kab rupa goswami prabhupada ji jo chaitanya mahaprabhu ke bahuth hi chahithe shishya hai , jinhone iss material world main sirf isliye aaye hai taaki vo sri chaitanya mahaprabhu ke icchaon ko poora kar sake , main kab uss rupa goswami prabhupada ji ke komal kamal jaise charan kamalon ke sharan milega , main kab jaongi unke sharan main?

vande ham sri guroh sri yuta padakamalam sri gurun vaishnavams ca
sri rupam sagrajatam saha gana raghunathanvitam tam sa jivam

sadvaitam savadhutam parijana sahitam krsna chaitanya devam
sri radhakrsna padan saha gana lalita sri vishakan vitams ca

iska mathlab hai ki
main apne guru ke  kamal jaise charan kamalon par apna dandavat pranam karti hu aur iss poore jagat ke vaishnavon ke charanon par bhi pranam karti hu.

main apna pranam chaitanya mahaprabhu ke chahite rupa goswami ji aur unke bade bhai sanatana goswami ji aur unke saathi aur chaitanya mahaprabhu ke other shishyon jaise raghunatha dasa goswami, raghunatha bhaatta goswami, gopala bhatta aur srila jiva goswami ko pranam karti hu.

main apne pranam sri krsna chaitanya mahaprabhu, nityananda prabhu, advaita acharya, gadadhara , aur srivasa jo saare chaitanya maahprabhu ke saathi the gaur lila main , main inn sabko pranam karti hu aur chainatya mahaprabhu ke anya saathi aur shishyon ko bhi pranam karti hu.

main apne pranam srimati radharani, sri krsna aur unke priya saathi jaise lalita aur vishaka ko bhi pranam karti hu

chaitanya mahaprabhu
nityananda prabhu
gadadhara
advaita acharya
srivasa
 yeh paanch logon ko milakar pancha tattva kehte hai

chaitanya mahaprabhu tho svayam krsna hai golok ke prabhu hai aur iss poore jagat ke ishvar hai

nityananda prabhu svayam balaram hai

gadadhara tho srimati radharani hai

advaita acharya tho vishnu hai

aur srivasa tho bhakt hai

he krsna karuna sindho
dina bandho jagat pathe
gopesa gopika kanta
radhakanta namostute

iska mathlab hai
o mere krsna ,o mere priya krsna,aap jo bhi sankat main hai aap unke dost hai aur aap iss poore srushti ke rachaitha hai, aap gopiyon ke master hai aur aap radharani ke priyatam hai, main aapko pranam karti hu

tapta kanchana gaurangi
radhe vrindavaneshwari
vrshabanu sute devi
pranamami hari priye

main srimati radharani ko pranam karti hu, jinka body molten gold ka colour hai mathlab jo sone ki tarah chamakthi hai, aur radharani tho rani hai vrindavan ki, aur radharani ke pita ka naam vrishabanu hai aur radharani ji aap krsna ke atyanth priya hai.isliye main aapko pranam karti hu.

vancha kalpatarubhyascha
krupa sindhubhya evaca
patitanam pavanebhyo
vaishnavebhyo namo namah

iska mathlab hai main saare ke saare vaishnavon ke kamal jaise charon par pranam karti hu.vaishnavas sabhike icchaon ko pura karte hai bilkul kalpa vriksha ki tarah.aur woh material world main gire huve souls ke upar bhahut daya hai , kabhi kabhi tho aisa lagta hai ki yeh vaishnav krsna se bhi adhik dayalu hai.

sri krsna chaitanya
prabhu nityananda
sri advaita gadadhara
srivasadi gaurabhakta vrinda
 
main pranam karti hu chaitanya mahaprabhu ke , nityananda prabhu ke , advaita acharya ke, gadadhara ke aur srivasa ke komal kamal jaise charan kamalon par pranam karti hu aur poore parampara main aane wale saare bhaktaon ko bhi pranam karti hu.

hare krsna hare krsna
krsna krsna hare hare
hare rama hare rama
rama rama hare hare


E-mail me when people leave their comments –

You need to be a member of ISKCON Desire Tree | IDT to add comments!

Join ISKCON Desire Tree | IDT